Saturday, 21 May 2011

ghar

GHAR
Ghar banta hai gharwalon se
Na diwaron se na darwazon se
Ghar banta hai gharwalon se

Ek bara sa plot liya
Bahut bara makan banaya
Age angan peechhe angan
Per paudhe khoob lagaye
Bahut mazboot dewaren banaen
Bultproof darwaze lagay
Bare bare shayakaksh banaye
Jhoomar liton se sajaye
Bahar ka paint aisa tha
Chand ki chandi men
Cham cham chamakta tha
Magzinon men photo chapte
Akhbaron men chrche hote
Door door se log use dekhne atey
Par kisi karanwash koie rahne nahin aya
Band para raha salonse
Bhargaya makree ke jalonse

Ghar banta hai gharwalon se
Na diwaron se na darwazon se
Ghar banta hai gharwalon se

Makan chahe bara kiyon na ho
Bahutse log usmen rahte hon
Bhaee ka dushman bhaee ho
Nak charee bhaojaee ho
Baron ki izat hotee na ho
Chhotonko pyar milta na ho
Hamdardee ka dard na ho
Kiseeko kiseeki kadar na ho
Property ko lekar jhagre hon
Har bat men apas men ragra ho
Harek ko apnee paree rahti ho
Ghar nahin kahlayega
Mashahoor hojayga afsano se

Ghar banta hai gharwalon se
Na diwaron se na darwazon se
Ghar banta hai gharwalon


Makan chahe chhota kiyon na ho
Usmen do ya das rahte hon
Lekin pyar se rahte hon
Choat ek ko lagtee ho
Dard auron ko hota ho
Rookhee sookhee khaka bhi
Chain ki need se sote hon
Ghar wohi kahlayega
Bhagwan bhi wohin rahna chahega

Ghar banta hai gharwalon se
Na diwaron se na darwazon se
Ghar banta hai gharwalon se

Apna ghar agar ghar nheen hai to
Ghar usko apna banalo
Sath men rahnewalon ke
Pyarse rahna sabko sikhado
Kya rakha hai jhagron men
Bhedbhaw sare mita ke
Sabko apne gale lagake
Apna ek chhotasa swarg banalo
Kiya maloom kab kaun gharee
Uska bulawa ajayega
Jis ke liye bhi larte hain ham
Sab yaheen rah jayega
Rahjayengi yadeyen peechhe
Kuchh khatee khuchh meethee
Agarto yaden achhee hongi
Yad karenge achhey se

Ghar banta hai gharwalon se
Na diwaron se na darwazon se
Ghar banta hai gharwalon se

BANSI DHAMEJA

No comments:

Post a Comment