Sab karmon ka khel hai bhai
Jitna jaldi samjhega utna labh uthaega
Bure karam ka phal achha kabhi nahin ho payega
Ache karam kar le tu bande warna phir pachhtayega
Bure karam karnewale aksar khushhal dikhte hain
Ek khushee ka makhauta sada who pahne rahte hain
Antahkaran unka unhen jhanjhorta rahta hai
Haqeeqat se bhagne ke tareeke dhoondhte rahte hain
Ek bure karam ke peechhe aur bure karam karte hain
Jaise ek jhooth ke peechhe sau jhooth bolne parte hain
Bure karam karnewalon ko uparee samaan milta hai
Andarse sab jante hain who insan bura kitna hai
Antkal jab aata hai sab jhoothe asoon bahate hain
Achha hua who chalagya aisa sabhi mante hain
Bure karam ka phal achha kabhi nahi ho payega
Achhe karam karle tu bande warna phir tu pachhtayega
Jo beet gaya so beet gaya lautke phir na ayega
Jo kar diya so kar diya use badal na payega
Achhe bure sare karmon ka phal tu hi bhogega
Kuchh is janam me bhogega kuchh agle janam mein payega
Iseeliye kahta hoon bandhoo anewale kal ki soch
Achha kuchh to sochega achha tu kar patega
Khiayan bhar roz rat ko soch aj tune kiya hai keeya
Kiya achha keeya kiya bura keeya man tera batlayega
Agar tujhse kuchh bura hua ho
Ya toone kuchh bura keeya ho
Man tera batlyega
Khayma yachna karne se man halka ho jayega
Man kah bhi payega
Kuchh din aisa karte karte ik din aisa ayega
Chahkar bhi bura kiseeka tu kar na payega
Achhey Karam karte karte tu sab ka chaheta banjayega
Jo pehle ghirna kartethe unka bhi pyar tu payega
Antkal jab ayega sab manse asoon bahayenge
Itzatse tujhe yad karenge tujhe bhulla na payenge
Tujhe bhulla na payenge
Tu amar ho jayega
Achhe karam karle tu bande varna phir pachhtayega
Bure karam ka phal kabhee achha nahin ho payega
Achhe karam karle tu bande warna phir pachhtayega,
Achhe karam karle tu bande warna phir pachhtayega.
-BANSI DHAMEJA
No comments:
Post a Comment